Ek dhundli si deewar

Arsa beet jaaten hain
Naa koi baadal aate hain
KHushk ho jaate hain logo ke zehan
Waqt ke dhool se
Ek dhundli si deewar ubhar aati hai
Muddaten beet jaaten hain na koi khabar aati hai

अरसा बीत जाते हैं
ना कोई बादल आते हैं
खुश्क हो जाते हैं लोगो के ज़ेहन
वक़्त के धुल से
एक धुंधली सी दीवार उभर आती है
मुद्दतें बीत जाते हैं न कोई खबर आती है…

-Rashid Ali Ghazipuri

Ye ghutan

Ye ghutan sadiyon se in lafzon me samayi hai
Baat na kar ye pal bhar ki ishq ki ruswayi hai
Aur bagair raasto ke hum chalte rahe bayaabaa.n me
ashqkon se kiye hain tar har mausam tab bahaar aayi hai

ये घुटन सदियों से इन लफ़्ज़ों में समायी है
बात ना कर ये पल भर की इश्क की रुसवाई है
और बग़ैर रास्तों के हम चलते रहे बयाबाँ में
अश्कों से किये हैं तर हर मौसम तब बहार आयी है…

-Rashid Ali Ghazipuri

Aab-e-hayaat

Aab-e-hayaat liye firte hain
Ishq me na marte hain na jeete hain…

आब-ए-हयात लिए फिरते हैं
इश्क़ में न मरते हैं न जीते हैं…

-Rashid Ali Ghazipuri

Ishq ka safar

Ishq ka safar hai na koi apna ghar hai
Dilon me aab ishq aur fir rahe dar-badar …

इश्क़ का सफर है न कोई अपना घर है
दिलों में आब इश्क़ और फिर रहे दर-बदर…

-Rashid Ali Ghazipuri

Lihaafe bashar

Lihaafe bashar me fir raha hoon main
Berang hi in galiyon se guzar raha hoon main
Tawaf e Ishq muyassar na hua ab tak
Rooh se rooh ki qalb me bhatak raha hoon main…

लिहाफ़े बशर में फिर रहा हूँ मैं
बेरंग ही इन गलियों से गुज़र रहा हूँ मैं
तवाफ़ ए इश्क़ मुयस्सर ना हुआ अब तक
रूह से रूह की क़ल्ब में भटक रहा हूँ मैं…

-Rashid Ali Ghazipuri

Hazar chehre badal liye hain

Kya kya rokoge kya kya tabaah karoge
Dhadkano ko bhi ab kya bewajah kahoge
Jo aag lagayi hai tumne wo aag hi to hai
Hazar ghar bhi jale aur tum use dhuaon kahoge
Bahane banoage hazar aur bheed me bhi chaloge
Maut ki taskaree karoge fir use shifa kahoge
Hazar chehre badal liye hain fir use wafa kahoge
Kaun ho tum aur khud ko kya kahoge
Shaitan ki hai fitrat aur khud ko Insaan kahoge …

क्या-क्या रोकोगे, क्या-क्या तबाह करोगे
धड़कनो को भी अब क्या बेवज़ह कहोगे
जो आग लगायी है तुमने वो आग ही तो है
हज़ार घर भी जले और तुम उसे धुआँ कहोगे
बहाने बनाओगे हज़ार और भिड़ में भी चलोगे
मौत की तस्करी करोगे फिर उसे शिफा कहोगे
हज़ार चेहरे बदल लिए हैं फिर उसे वफ़ा कहोगे…

-Rashid Ali Ghazipuri

Kuch lehron ko ab lafzon me samet lun

Kuch lehron ko ab lafzon me samet lun
Apni harf ki syaahi me suraj ko lepet lun
Likhun kuch aisa jo raushni se bhi raushan ho
Rooh aur qalb ke diivaar pe ishq rang pot lun…

कुछ लहरों को अब लफ्जों में समेट लूं
अपनी हर्फ़ की स्याही में सूरज को लेपेट लूं
लिखूं कुछ ऐसा जो रौशनी से भी रौशन हो
रूह और क़ल्ब के दीवार पे इश्क़ रंग पोत लूँ…

-Rashid Ali Ghazipuri